Bichhad gaye toh kya, Mohabbat toh ab bhi zinda hai.
Pyaar toh sach tha mera, Par tune hi jhooth bana diya.
Tera pyaar ab ek kahani hai, Jo shuru toh hui, par khatam ho gayi.
Dil bhar gaya tera, Aur dil tod gaya mera.
Jise apna samjha, Usne ajnabee bana diya.
Tu juda ho gaya, Par dard ab tak mera hai.
Tere bina jeena aasan nahi, Par tere saath dard bhi kam nahi tha.
Pyaar kiya dil se, Aur chot mili apno se.
Tu tha toh sab kuch tha, Ab tu nahi, toh sab bekaar hai.
Rishte khatam ho jaate hain, Par yaadein zinda rehti hain.
Tere liye roye hum, Aur tu kisi aur ka ho gaya.
Mohabbat toh ki thi dil se, Par mila kya? Aansu aur tanhaayi se.
Tere jaane se kuch nahi badla, Bas dil aur zyada tanha ho gaya.
Tera gham hi ab toh mera sukoon hai, Tu bhula de, mujhe yeh kabool hai.
Ab na tujhe paane ki chahat hai, Na hi tere baare mein koi shikayat hai.
Kya mila tujhe humse door jaake? Hamari duniya hi ujaad di hasa ke.
Bewafa tu nahi tha, bas pyaar jhootha tha, Jisne toda tha dil, uska naam tera tha.
Ishq mein sirf main hi barbaad ho gaya, Tu toh khushiyon ke saath nikal gaya.
Tera jaana ek naya dard de gaya, Jo tha mera, woh paraya sa lag gaya.
Tere pyaar ka yeh anjaam na socha tha, Jis din mila, us din bichhadne ka iraada tha?